← Health Tools
Khawateen · Private Check

🌷 Khwahish aur Lutf Check

Shadi shuda khawateen ke liye — 12 sawal, 3 minute. Ye doctors ke istemal hone wale FSFI test par mabni hai. Sach sach jawab dein — aap ke jawab bilkul private rahenge.

Sawal 1 / 12
Pichle 4 hafton mein: jinsi khwahish (dil chahna) kitni rahi?
Hambistari ke dauran josh (arousal) kitna hota hai?
Hambistari ke dauran kitni baar qudrati geela-pan (lubrication) hota hai — khushki nahi hoti?
Kitni baar aap aakhri lutf / tasalli (orgasm) tak pohanchti hain?
Shohar ke saath apni jinsi zindagi se aap kitni mutmain hain?
Hambistari ke dauran ya baad mein kitni baar dard ya takleef hoti hai?
Shadi ko kitna arsa hua?
Is ke baad ke sawal sirf wajah samajhne ke liye hain — score mein shamil nahi.
Kya pichle 1 saal mein delivery hui hai ya bachche ko doodh pila rahi hain?
Aap ki umar?
Thakan, ghar ke kaam ka bojh ya tension kitni hai?
Shohar ki taraf se kya surat hai?
Agar dard hota hai to kaisa?

Ye self-check (FSFI-6 par mabni) sirf aam rehnumai ke liye hai, medical diagnosis nahi. Ilaj aur dawai ke liye lady doctor se zaroor mashwara karein.