← Home par wapas jayein
Khawateen Ki Jinsi Sehat Ka Tool

Female Sexual Wellness Check

Desire, arousal, aur overall jinsi sehat ka ek chhota, private check-in. Sach sach jawab dein, koi ghalat jawab nahi hota — ye sirf aapko behtar samajhne mein madad ke liye hai.

Sawal 1 az 16
Aap apni jinsi khwahish (sexual desire) ko kaisa mehsoos karti hain?
Humbistri ke waqt, jismani taur par uttejna (arousal) mehsoos karna kitna aasan hota hai?
Kya khushki (dryness) ki wajah se humbistri mein takleef ya mushkil hoti hai?
Kya humbistri ke doran farigh (discharge) hona mumkin hota hai?
Kya shohar aapko farigh kar pate hain ya nahi?
Kya humbistri ke doran dard ya takleef mehsoos hoti hai?
Kya aap humbistri ke doran mukhtalif tariqay (positions) try karte hain?
Kya kisi khaas tarike (position) se humbistri karte waqt dard, jalan, ya takleef (discomfort) mehsoos hoti hai?
Shohar ki timing kaisi hai?
Shohar ke nafs ka tanav (erection) kaisa hota hai?
Apne jism aur performance ke baray mein aap kitni confident mehsoos karti hain?
Overall, aap apni aur apne partner ki jinsi zindagi se kitni mutmain hain?
Aam taur par, aapki jismani taqat/urja (energy) kaisi rehti hai?
Kya stress, thakawat, ya zehni pareshani aapki jinsi sehat par asar dalti hai?
Kya pichle kuch mahinon mein cycle ya hormonal changes ne aapki jinsi sehat par asar dala hai?
Kya aapko sugar (diabetes), thyroid, ya hormonal imbalance ki tashkhees hui hai?

Ye self-assessment sirf aam rehnumai ke liye hai aur medical diagnosis nahi hai. Behtar dekhbhaal ke liye doctor se zaroor mashwara karein.